23.1.08

Meri rooh se bandhi kuch gazlein...(there are many more)

Ranjish Hi Sahi

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Aa Phir Say
Mujhay Chor Kay
Jaanay Kay Liye
Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Pehlay Say
Marasim Na Sahi
Phir Bhi Kabhi To

Pehlay Say
Marasim Na Sahi
Phir Bhi Kabhi To

Rasm-e-Rah-e-Duniya
Hi Nibhaanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Ab Tak
Dil-e-Khush Feham Ko
Tujh Say Hain
Umeedain

Ab Tak
Dil-e-Khush Feham Ko
Tujh Say Hain
Umeedain

Yeh Aakhri
Shamain Bhi
Bujhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Kis Kis Ko
Batayen Gay
Judai Ka
Sabab Hum

Kis Kis Ko
Batayen Gay
Judai Ka
Sabab Hum

Tu Mujhsay
Khafa Hai To
Zamaanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Ek Umar Say Hoon
Lazzat-e-Girya
Say Bhi Mehroom

Ek Umar Say Hoon
Lazzat-e-Girya
Say Bhi Mehroom

Ay Raahat-e-Jaa'n
Mujhko Rulaanay
Kay Liye
Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Kuch To Meray
Pindar-e- Mohabbat
Ka Bharam Rakh

Kuch To Meray
Pindar-e- Mohabbat
Ka Bharam Rakh

Tu Bhi To Kabhi
Mujhko Manaanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Maana Kay
Mohabbat Ka
Chupaana
Hai Mohabbat

Maana Kay
Mohabbat Ka
Chupaana
Hai Mohabbat

Chup Kay Say
Kisi Roz
Jataanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi

Jesay Tumhain
Aatay Hain
Na Aanay
Kay Bahaanay

Jesay Tumhain
Aatay Hain
Na Aanay
Kay Bahaanay

Aisay Hi
Kisi Roz
Na Jaanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay
Liye Aa

Ranjish Hi Sahi




Woh jo hum main tum main qaraar tha ...


Woh jo hum main tum main qaraar tha
tumhain yaad ho k na yaad ho
wohi, yani waada nibaah ka
tumhain yaad ho k na yaad ho

Woh jo hum main tum main qaraar tha ...

woh jo lutf mujh mein thay paishtar
woh karm k tha mere haal par
mujhe sab hai yaad zara zara
tumhain yaad ho k na yaad ho

woh jo hum main tum main qaraar tha ...

woh naye gilay, woh shiakayatain
woh mazay mazay ki hikayaatain
woh har aik baat pe roothna
tumhain yaad ho k na yaad ho


Woh jo hum main tum main qaraar tha ...
jisay aap kehte thay aashna
jisay aap kehte thay bawaafa
main wohi hoon Momin e mubtala
tumhain yaad ho k na yaad ho

Woh jo hum main tum main qaraar tha ...



Zindagi Mein To Sabhi, Mehdi Hassan

zindagi mey to sabhi pyaar kiyaa karte\' hain
mai.n to mar kar bhi teri jaan tujhe chaahu.n ga
zindagi mey to sabhi....

tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko
yeh meri umr mahobbat ke liye thhodi hai
ik zara sa gham-e-dora.n ka bhi haq hai jiss par
mai.n ney woh saa.ns bhi tere liye rakh chhori hai
tujh pe ho jaaoo.n ga qurbaan tujhe chaahoo.n ga
mai.n to mar kar bhi meri jaan tujhe chaahoo.n ga
zindagi mey to sabhi....

apney jazbaat mai.n naghmaat rachaaney ke liye
mai.n ne dha.rkan ki tarha.n dil mey basaaya hai tujhe
mai.n tassawwur bhi judaai ka bhalaa kese\' karu.n
mai.n qissmat ki lakiro.n se churaaya hai tujhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chaahu.n ga
mai.n to mar kar bhi meri jaan tujhe chaahu.n ga
zindagi mey to sabhi......



Aaj jaane ki zid na karo
Aaj jaane ki zid na karo (3)
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo (2)
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Tum hi socho zara, kyun na roke tumhe
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum (2)
Tumko apni qasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar (2)
Chand ghadiyan yehi hain jo aazad hain (2)
Inko khokar mere jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Kitna maasoom rangeen hai yeh sama
Husn aur ishq ki aaj mein raaj hai (2)
Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

4 comments:

Ankur said...

Ye sher kis ghazal se bichda he cant say for sure, but there is a bit of me in it somehow, somehow, cant explain how, let not the indecisivenesses spoil the sher

Jo tamanna bar na aye umra bhar
Umra bhar uski tamanna kijiye.
...
Wo gar mil jaye to kya kijiye
raat din soorat ko... oh thats the ghazal.

diksha said...

wah
but well i was expecting to read more

diksha said...

wah
but well i was expecting to read more

Ankur said...

Sure you wanna hear more, there's hardly a thing thats been said yet, par baton ke silsile kuch yadon ki tarah hote hain, right? aur baat niklegi to phir door talak jayegi. wow! who said that, seems like its said in reference to moblies or telephones, spoiling the mood?? well, you've gotta laugh when all you can do is let it ride. This sher, by Ghalib perhaps (do correct me if I'm wrong) and I'm not sure if I'm able to recall the words, but this is how it goes,
Zakhm ek nahi, do nahi, tamam zism he chalni,
Dard pareshan he ki utthe to kahan se utthe.