9.2.08

humne tumhe yaad kiya

Kya soch kar hum ne tum pe aitbaar kiya
tamam raat qayaamat ka intazaar kiya

log hairan the ki registaan kaise gaya bheeg...
humse pucha, hum ne kaha, aaj phirse tujhe yaad kiya...

raat bhar sochte rahe,kis kaam me tha khuda mashroof?
jab tumne daga , aur humne tumse pyaar kiya?

ek aansu chhann se gira sukhe hue dil par...
ek lamhe ko dil dhadka teri yaad mein, us dhadkan ko bhi barbaad kiya

kya wo saanson ka zaiyka jhootha tha?
jo tere honthon se uthakar mere honthone kai baar piya?


3 comments:

Ankur said...

Arz kiya he


Itna na murjha
ke me ho jaun mayoos;

tujhe dekh khila tha
main in khizaon me.

diksha said...

murjhate hain wo phool,
jo oos ki chuuan se khile the kabhi...
hum to bas khilne ke khwaab dekha kartein hai...

yeh to neend se jaga diya hume duniya ne...
warna khwabon mein khilna kya kam hai?

Ankur said...

Wah!

Heard this one?

Shaam se Aankh me nami si hai,
Aj phir aap ki kami se hai.

best sher I guess

Waqt rukta nahi kahin rukkar
Iski adat bhi aadmi si hai